Cryptography

Lets assume you are in class aur tumhey apney dost ko kuch secret message dena hai

Kaisey dogey ?  (Students : Think ).

 

Write everything on paper, sirf ek condition hai ki dusarey kisi ko samajh na aayey.

 

Answer :

 Bahut sarey ways hongey jaisey ki 

  1. Common language mein baat karana jo kisi ko nahi pata ho.
  2. Isharo mein batana (but ye risky hai )
  3. Koi khud ka signals define karlena , ki bhai bahar jana hai to naak pe khuja do…etc

 I think bahut sarey creative techniques hongey.

Bus if we can understand this thing , yahi technique jiskey through hum apney message ko bina expose kiyey apney dost tak hidden way mein pass kartey hai , isiko hum cryptography kehtey hai.

In computer bahut ways jiskey through isko achive kiya jata hai , kuch tough hai aur kuch easy , but the crux is har technique message ko kuch aur form mein present karkey bhejney ka kaam karti hai, Jaisey ki  Secret key , public cryptography , private cryptography .