MACHINE LEARNING

 

Kal kya barish hogi ?

Kuch log bolenegy hogi aur kuch log bolengey nahi hogi … ye decision ka kya reason hai ?

Think and write all the logical conclusion you can make (Student : brain strom)

 Answer:

 Possible solution:

  1. Kuki may be ye season barish ka nahi hai isliye nahi hogi.
  2. Kal barish hui thi so chances jyada hai ki aaj bhi ho sakti hai.
  3. Pichley saal nahi hui thi is time mein so chances hai ki is baar bhi nahi hogi…..etc

 

In sab mein common cheez hai pehley ka information and jiskey baad hum ye guess kartey hai ki kitana chance hai ki barish hogi…as simple as that

 Now ye jo pehley ka historical data hai uspe hum kuch logic (mathematical function) lagatey hai and learn kartey hai ki future mein kya ho sakata hai. Ye purey process ko machine learning kehtey hai.

 Hence machine learning hamesha probabilistic hota hai , its chance game aur humarey learning pe depend karata hai ki hum kitana sure hai apney decision pe .